Hope Before Sunrise
Waiting...
Ruk jaa zara,thehr jaa zara.
Door na jaa aye sanam
Hum teri ek jhalak ke intezaar mein kabse yahan baithe hain..
Tuje jee bhar k dekh to lun zara.
Abhi ruk jaa aye sanam
Hum tere pyaar mein duniyaa bhulaye baithe hain
Marte marte bhi teri aah lagaye baithe hain..
Ek akhri baar mud k dekh to zara,
Iss dill ki pukaar sun le to zara.
Khuda ka paigaam aya hai
Uss maalik ne humein uss nagri mein bulaya hai..
Ye saanse kuch samay mein tham jayengi,
Aankhon se ye pyaar ki boondein sookh jayengii.
Ye waqt nahi rukega
Par,
Iss dill ki dhakkane ruk jaengi..
Ruk jaa zara,thehr jaa zara.
Aa gale lag jaa aye sanam
Rooth na aaj humse
Hum tere palatne ki ashaa lagaye baithe hain..
Teri muskaan dekh lun to zara,
Abhi ruk jaa aye sanam
Hum iss dill ke diye ko zeest k andhere mein jalaye baithe hain.
Iss lahoom ko seene se lagaye baithe hain..
Khafa ho tum, humein hai maloom.
Iss jahan mein koi nahi hai mera tu jaanta hai,
Ruk jaa aye sanam
Tuje tere mehboob ki kasam
Dill se ho jaati hain galatiyaan,Par ishq hota hai maasoom..
Dhal gayi hai raat,chup gaye hain taarey,
Bass tera intezaar baki hai
Par ab mulakaat ka waqt nahi aye sanam
Bass tujse bicharnaa baki hai..
Par tu ruk jaa zara, thehr jaa zara
Kareeb aaja aye sanam,
Khushnaseeb hai hum jo tuje binaa rulaye jaa rahein hai..
Teri tasveer ko hi dekh lun zara,
Hum aankhon mein basa iss zindagi ko tere hawale kie jaa rahe hain.
Agle janam mein milne ka wada diye tujhe hum chale jaa rahe hain..
(Shivani Gupta is a student of economics, pursuing Msc Economics, Teri University. She occasionally writes Hindi poems and hindi shariyi, and has an interest in literature and philosophy.)